#How to clean harmonica

#How to clean harmonica 

Hello friends kaise ho ap sab ajka type bohat important hai ek harmonica beginners keliye  kyun ke hame sirf harmonica baja na hi nahi hai hai hame apna aur harmonica ka koi thik bhi rakhna hai..
Sirf ap harmonica bajate hi rahoge kabhi usko clean nahi karoge toh isme apka health kharap hoga aur harmonica bhi kharap hoga...

Self awareness

Friend hamesha yaad rakhiega  ap jo bhi harmonica bajate ho wo ap hi use kare dusro ko use karne na de. Pata nahi kaun kya khaya hai uska kya health problem hai wo thik se baja raha hai ki nahi..agar koi apka harmonica baja bhi diya hai toh usko thik se clean karne k bad hi ap play karna nahi toh apko Infection ho sakta hai...

Harmonica care

#1

Thand ke time pe harmonica play karne se pahle harmonica ko thoda sa warm kar dena isse harmonica ka sound thik se nikalta hai hai..ap harmonica ko apne jacket ke andhar rakh sakte ho 3/5mint warm keliye uske bad baja sakte ho.

#2

Harmonica jabhi play kare toh pura smoothly bajae smoothly matlab harmonica blow and draw aram se kare ek flow me kare jor jor se nahi jada jor jor se blow draw karege toh harmonica kharap ho sakta hai uska plat tut sakta hai isliye smoothly play kare...

#3

Harmonica play karne se pahle apna muh  ko Mouthwash se ya pani se achhe raha se clean kare  kyun mouth me kuch particle hoga toh nikal jaega nahi harmonica ka hole me chal jaega aur hole block kar sakta hai..

#4


Harmonica play karne se pahle aur uske bad harmonica ko ek saf kapda se clean karna aur ke bad harmonica ka hole ko EAR BUDS ya koi achha se chhota se brush me clean karna..

#5

1/2 week me ek bar harmonica ko pani se achhe se dhona ek ek hole ko achhe se pani se dhona  uske pani ko thik se jhadna pani ko ekdam sukha dena uska ek ek hole ko ear buds ya brush se cleam karna sirf sabhi hole blow draw blow draw karna jisse hole pe pani nahi rahega sab saf hojaega.

#6

Harmonica ko har 2/3 month me  ek bar harmonica ko nut khol ke saf karna cha hiye lekin dhyan se kyun uske plat bohat hi patle rahte hai.isliye dhyan karna aram sekoi bhi moithwash aur ke sath clean karna isse apka harmonica long time tak apka sath dega...thank you so much ffor read...
If you wanna buy harmonica click here

Comments